wo zeb-e-shabistan hua chahta hai
ye majma pareshan hua chahta hai
buri ho gai shohrat-e-ku-e-jaanan
koi KHana-viran hua chahta hai
tere gham ne sab kaam aasan kiye hain
ki marna bhi aasan hua chahta hai
chale aate hain sair karte hue wo
gulistan gulistan hua chahta hai
na dekha karo tum ki ab aaina bhi
meri chashm-e-hairan hua chahta hai
nikala hai ye rang 'haali' ne 'salik'
ki har sher diwan hua chahta hai
Ghazal
Wo zeb-e-shabistan hua chahta hai
Qurban Ali Salik Beg