wo zamana nazar nahin aata
kuchh Thikana nazar nahin aata
jaan jati dikhai deti hai
un ka aana nazar nahin aata
ishq dar-parda phunkta hai aag
ye jalana nazar nahin aata
ek zamana meri nazar mein raha
ek zamana nazar nahin aata
dil ne is bazm mein biTha to diya
uTh ke jaana nazar nahin aata
rahiye mushtaq-e-jalwa-e-didar
hum ne mana nazar nahin aata
le chalo mujh ko rah-rawan-e-adam
yan Thikana nazar nahin aata
dil pe baiTha kahan se tir-e-nigah
ye nishana nazar nahin aata
tum milaoge KHak mein hum ko
dil milana nazar nahin aata
aap hi dekhte hain hum ko to
dil ka aana nazar nahin aata
dil-e-pur-arzu luTa ai 'dagh'
wo KHazana nazar nahin aata
Ghazal
Wo zamana nazar nahin aata
Dagh Dehlvi