wo zamana hai ki ab kuchh nahin diwane mein
nam leta hai junun ka kabhi anjaane mein
qismat apni hai ki hum nauhagari karte hue
karen zanjir-zani dil ke aza-KHane mein
kya hue log purane jinhen dekha bhi nahin
ai zamane hamein taKHir hui aane mein
in shikasta dar-o-diwar ki surat hum bhi
bahut aaseb-zada honge nazar aane mein
apne aabai makanon se palaTte hue hum
kitne nazan hain koi din rahe virane mein
hum to kuchh aur tarah hote the barbaad 'ata'
ab to kuchh aur se haalat hain mai-KHane mein
Ghazal
Wo zamana hai ki ab kuchh nahin diwane mein
Ahmad Ata