اردو हिंदी
Wo zamana guzar gaya kab ka | Shaahi Shayari
wo zamana guzar gaya kab ka

Ghazal

Wo zamana guzar gaya kab ka

Javed Akhtar

;

wo zamana guzar gaya kab ka
tha jo diwana mar gaya kab ka

DhunDhta tha jo ek nai duniya
luT ke apne ghar gaya kab ka

wo jo laya tha hum ko dariya tak
par akele utar gaya kab ka

us ka jo haal hai wahi jaane
apna to zaKHm bhar gaya kab ka

KHwab-dar-KHwab tha jo shiraaza
ab kahan hai bikhar gaya kab ka