wo yun kho ke mujhe paya karenge
mera afsana dohraya karenge
sitam apne jo yaad aaya karenge
to dil hi dil mein pachhtaya karenge
ghurur-e-husn ko baatil samajh kar
sarapa ishq ban jaya karenge
na hogi tab-e-zabt-e-gham jab un ko
yaqinan ashk bhar laya karenge
qayamat hongi nazuk dil ki aahen
har ek zarre ko taDpaya karenge
falak matam karega be-kasi par
mah-o-anjum taras khaya karenge
mujhe har gam par Thukrane wale
mujhi par naz farmaya karen
na hogi jab sukun ki koi surat
kuchh apne dil ko samjhaya karenge
har ek tadbir jab nakaam hogi
to mujh ko ru-ba-ru paya karenge
nigahon se mila kar wo nigahen
yakayak ruKH badal jaya karenge
wahi naz-o-ada ki shakl hogi
isi surat se sharmaya karenge
main kahta hi rahunga qissa-e-gham
wo sunte sunte so jaya karenge
magar jab hoga aalam aalam-e-KHwab
na pa kar mujh ko ghabraya karenge
'shakil' apne liye lamhat-e-fursat
payam-e-nau-ba-nau laya karenge
Ghazal
Wo yun kho ke mujhe paya karenge
Shakeel Badayuni