wo yak-ba-yak use dal mein utarne ka amal
wo apni zat pe shab-KHun marne ka amal
hazar waswase dil mein aur ek dahakta alaw
hayat-e-dasht mein raaten guzarne ka amal
bas ek KHosha-e-gandum aur aisi dar-ba-dari
wo aasman ko zamin par utarne ka amal
ye umar mez hai gawayya qimar-KHane ki
bas ek jit ki KHwahish mein haarne ka amal
wo band KHushbu ka baad-e-saba ke wo naKHun
kali ke jism se kapDe utarne ka amal
ghazab ka shor machate hoe ye sannaTe
wo be-sada bhi kisi ko pukarne ka amal
hui hai sham phir ashkon se ek wazu ho 'nadim'
phir ek raat sitare shumarne ka amal

Ghazal
Wo yak-ba-yak use dal mein utarne ka amal
Nadeem Fazli