wo yar hum se KHafa hai to ho hua so hua
phir us ka qissa hi kya jaane do hua so hua
agar raqib shararat se baz nahin aata
bala se apni kuen mein paDo hua so hua
har ek baat mein tum kyun ulajhte ho yaro
dekho ye muft gadhe mat chaDho hua so hua
ye sara qaziya to hum se hai is se tum ko kya
tum apne ek taraf ho ro hua so hua
hum apna aap hi kar lenge infial us se
hamare bich koi mat paDo hua so hua
ye sab laDane ki baaten hain tum jo karte ho
zara to KHair ka kalima kaho hua so hua
hamin to yar siwa apne tain kare kaam
bura kisi ko lage to lago hua so hua
ranga hai ab to zamane ne rang
ye lal zard dikhai karo hua so hua
giran hun se teri 'nayan' pesh nahin jati
to pher ba-huda kyun bakte ho hua so hua
Ghazal
Wo yar humse KHafa hai to ho hua so hua
nayan sukh