wo wafa-o-mehr ki dastan tujhe yaad ho ki na yaad ho
kabhi tu bhi tha mera mehrban tujhe yaad ho ki na yaad ho
tere lutf-e-KHas ne jo diya teri yaad ne jo ata kiya
gham-e-mustaqil gham-e-jawedan tujhe yaad ho ki na yaad ho
wo jo shor-e-lutf-e-suKHan raha wo jo zor-e-lutf-e-bayan raha
mere ham-suKHan mere ham-zaban tujhe yaad ho ki na yaad ho
jo tere liye mere dil mein tha jo mere liye tere dil mein tha
mujhe yaad hai wo gham-e-nihan tujhe yaad ho ki na yaad ho
teri dosti pe mera yaqin mujhe yaad hai mere ham-nashin
meri dosti pe tera guman tujhe yaad ho ki na yaad ho
wo karam-shiari-e-dushmanan wo sitam-taraazi-e-dostan
mere nukta-ras mere nukta-dan tujhe yaad ho ki na yaad ho
wo jo shaKH-e-gul pe tha aashiyan jo tha wajh-e-nazish-e-gulistan
giri jis pe barq-e-sharar-fashan tujhe yaad ho ki na yaad ho
mere dil ke jazba-e-garm mein mere dil ke gosha-e-narm mein
tha tera maqam kahan kahan tujhe yaad ho ki na yaad ho
use manta hun main mehrban hain tere rafiq bahut yahan
kabhi main bhi tha tera raaz-dan tujhe yaad ho ki na yaad ho
ye jo 'arsh' shikwa-taraaz hai jise harza-goi pe naz hai
ye wahi hai shair-e-KHush-bayan tujhe yaad ho ki na yaad ho
Ghazal
Wo wafa-o-mehr ki dastan tujhe yaad ho ki na yaad ho
Arsh Malsiyani