wo umangen hain na wo dil hai na ab wo josh hai
husn bar-e-chashm hai naghma wabaal-e-gosh hai
main kahun to kya kahun ab wo kahe to kya kahe
de ke dil KHamosh hun wo le ke dil KHamosh hai
ai wafur-e-shadmani ye samajh lene to de
kya hamin hain jis se wo ham-bazm ham-aghosh hai
is taraf dil par jigar par us taraf rahta hai hath
apni har karwaT mein ek mashuq ham-aghosh hai
tar is ka TuTne pae na 'kaifi' hashr tak
daman-e-ashk-e-nadamat jurm-e-isyan-posh hai
Ghazal
Wo umangen hain na wo dil hai na ab wo josh hai
Kaifi Hyderabadi