wo tumtaraq-e-sikandar na qasr-e-shah mein hai
jo baat 'rahat'-e-KHasta ki KHanqah mein hai
use haTana paDega junun ki Thokar se
ye kaenat rukawaT meri nigah mein hai
main is samaj ko taslim hi nahin karta
ki ishq jaisi ibaadat jahan gunah mein hai
KHayal rukte nahin aahani fasilon se
ki aah-e-KHalq kahan qudrat-e-sipah mein hai
ki ye bhi meri tarah bhulti nahin tujh ko
isi liye to nami chashm-e-sair-gah mein hai
kahan banega to DeDh inT ki masjid
tamam shahr to shamil hudud-e-shah mein hai
qadam qadam pe wahan hath KHar bante hain
kashish ajib si 'rahat' kisi ki rah mein hai
Ghazal
Wo tumtaraq-e-sikandar na qasr-e-shah mein hai
Rahat Sarhadi