wo tujh ko toD ke misl-e-habab kar dega
tera ghurur tujhe aab aab kar dega
Thahar sakegi kahan shabnami guhar ki chamak
bas ek nazar mein fana aaftab kar dega
kabhi to phailegi bagh-e-hayat mein KHushbu
gulab khil ke faza ko gulab kar dega
ruKH-e-fareb pe Thahregi kya naqab-e-fareb
tera fareb tujhe be-naqab kar dega
na ras aaegi tabir-e-KHwab-e-mustaqbil
ye waqt KHwab ke manzar ko KHwab kar dega
dikha ke chehra-e-mazi ke KHadd-o-KHal tujhe
sawal-e-daur-e-rawan la-jawab kar dega
jahan ko degi jo 'kausar' payam-e-amn-o-aman
adib-e-waqt raqam wo kitab kar dega
Ghazal
Wo tujhko toD ke misl-e-habab kar dega
Kausar Siwani