wo to yunhi kahta hai ki main kuchh nahin kahta
mera ye maqula hai ki main kuchh nahin kahta
kah jata hai wo saf hazaron mujhe baaten
phir us pe ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta
ai dosto us shoKH ka main kya kahun aalam
kuchh aaj wo dekha hai ki main kuchh nahin kahta
yun ghair sataen mujhe aur kuchh na kahun main
munh mujh ko tumhaara hai ki main kuchh nahin kahta
har baat pe kya kya hamein kahta hai wo zalim
gar kahiye to kahta hai ki main kuchh nahin kahta
bas aur kiya chahte ho mujh pe sitam kya
socho to ye thoDa hai ki main kuchh nahin kahta
kya haal banaya hai gham-e-ghair mein apna
wo aap ka naqsha hai ki main kuchh nahin kahta
juz mere kisi aur ko to aap sataen
han aap ne samjha hai ki main kuchh nahin kahta
aisa hamein kahte ho ki bas jaante hain hum
ye aap ko dhoka hai ki main kuchh nahin kahta
kya kya mujhe tum kahte ho insaf to kije
ye hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta
dawa karen go aur 'nizam' apne suKHan par
par mujh ko ye dawa hai ki main kuchh nahin kahta
Ghazal
Wo to yunhi kahta hai ki main kuchh nahin kahta
Nizam Rampuri