اردو हिंदी
Wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai | Shaahi Shayari
wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai

Ghazal

Wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai

Rauf Raza

;

wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai
dil ab bhi pyas par hai gham pi liye to kya hai

sari KHushi hamari aankhon se chhan rahi hai
kuchh der tum ne gesu lahra diye to kya hai

be-tabiyan bhi kitni munh-zor ho gain hain
tufan jate jate kuchh mar liye to kya hai

main bhi wahan purane zaKHmon ko dho raha tha
tu ne bhi aaj din bhar dukhDe siye to kya hai

hans hans ke kah raha hai ye raat ka daricha
ab gunj ubhar rahi hai lab si liye to kya hai

us mai-kade mein ab bhi taqsim hai purani
chhalka diye to kya hai ulTa diye to kya hai