wo to mujh mein hi nihan tha mujhe malum na tha
KHun ban kar wo rawan tha mujhe malum na tha
itne majruh the jazbaat hamare jis par
charKH bhi mahw-e-fughan tha mujhe malum na tha
pyas shiddat ki thi sahra bhi taDap jata tha
imtihan sar pe jawan tha mujhe malum na tha
pair to pair yahan ruh ke chhaale nikle
dur itna bhi makan tha mujhe malum na tha
dil bhi hota hai suna karte the har sine mein
dard bhi us mein nihan tha mujhe malum na tha
ishq ke bahr mein ghota to lagaya lekin
baad mein us ke kahan tha mujhe malum na tha
fitna-gar luTne wala sar-e-bazar yahan
itna shirin-zaban tha mujhe malum na tha
husn-e-ulfat ko samae hue sine mein 'nisar'
dil mein ek dard jawan tha mujhe malum na tha
Ghazal
Wo to mujh mein hi nihan tha mujhe malum na tha
Ahmed Nisar