wo to mil kar bhi nahin milti hai
jaane kis dhun mein raha karti hai
chum leti hai mera matha jab
ek KHushbu si baras paDti hai
soch leta hun use dam bhar ko
aur ye ruh mahak uThti hai
main jise kah na sakunga hargiz
aaj wo baat mujhe kahni hai
log kahte hain mohabbat jis ko
sar-phiri bigDi hui laDki hai
apni duniya ke masail mein wo
apni zulfon ki tarah uljhi hai
main nadi nind ki aur wo mujh mein
KHwab machhli ki tarah rahti hai
Ghazal
Wo to mil kar bhi nahin milti hai
Tripurari