wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega 
masala phul ka hai phul kidhar jaega 
hum to samjhe the ki ek zaKHm hai bhar jaega 
kya KHabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaega 
wo hawaon ki tarah KHana-ba-jaan phirta hai 
ek jhonka hai jo aaega guzar jaega 
wo jab aaega to phir us ki rifaqat ke liye 
mausam-e-gul mere aangan mein Thahar jaega 
aaKHirash wo bhi kahin ret pe baiThi hogi 
tera ye pyar bhi dariya hai utar jaega 
mujh ko tahzib ke barzaKH ka banaya waris 
jurm ye bhi mere ajdad ke sar jaega
        Ghazal
Wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega
Parveen Shakir

