wo tirgi-e-shab hai ki ghar lauT gae hain
us dar se abhi najm-o-qamar lauT gae hain
ai mausam-e-gul tu abhi aaya hai yahan par
jab shaKH-o-shajar dida-e-tar lauT gae hain
shab bhar to teri yaad ka mela sa laga tha
is bhiD mein kuchh KHwab-e-sahar lauT gae hain
hum hain ki tere sath chale jate hain warna
sab log shuruat-e-safar lauT gae hain
jab sham ke sae shajar-o-shaKH se utre
hum takte hue rah-guzar lauT gae hain
aae the bahut taish mein wo mujh ko Dubone
dekha jo mera azm bhanwar lauT gae hain
sannaTe tujhe malne ko aae the sawere
roka tha bahut hum ne magar lauT gae hain
bas hum hain tere shahar mein Thahre hue ab tak
sab tajir-e-marjaan-o-guhar lauT gae hain
ab ke to ye sahra bhi sahaara nahin deta
diwane sabhi KHak-ba-sar lauT gae hain
KHwabon ko 'salim' aankh mein rukna hi nahin tha
wo kar ke mujhe zer-o-zabar lauT gae hain

Ghazal
Wo tirgi-e-shab hai ki ghar lauT gae hain
Saleem Faraz