wo taqaza-e-junun ab ke bahaaron mein na tha
ek daman bhi to uljha hua KHaron mein na tha
ashk-e-gham tham gae yaad aate hi un ki surat
jab chaDha chand to phir nur sitaron mein na tha
marne jine ko na samjhe to KHata kis ki hai
kaun sa hukm hai jo un ke ishaaron mein na tha
har qadam KHak se daman ko bachaya tum ne
phir ye shikwa hai ki main rah-guzaron mein na tha
tum sa lakhon mein na tha jaan-e-tamanna lekin
hum sa mahrum-e-tamanna bhi hazaron mein na tha
'hosh' karte na agar zabt-e-fughan kya karte
pursish-e-gham ka saliqa bhi to yaron mein na tha
Ghazal
Wo taqaza-e-junun ab ke bahaaron mein na tha
Hosh Tirmizi