اردو हिंदी
Wo tamasha aap ki jadu-bayani se hua | Shaahi Shayari
wo tamasha aap ki jadu-bayani se hua

Ghazal

Wo tamasha aap ki jadu-bayani se hua

Mustafa Shahab

;

wo tamasha aap ki jadu-bayani se hua
ek sannaTa hamari be-zabani se hua

ek pal mein uTh gae parde kai asrar se
wo na hota jo zara si bad-gumani se hua

baDh gai kuchh taqat-e-guftar bhi raftar se
shor paida mauj-e-dariya mein rawani se hua

uD gai KHushbu hawa mein dhup rangat le uDi
faeda kya KHak-e-gul ki pasbani se hua

jo bhi hona tha hua lekin ye hairat hai 'shahab'
aap jaise mehrban ki mehrbani se hua