wo taghaful ko ilaj-e-gham-e-pinhan samjha
chaara-gar bhi na mere dard ka darman samjha
tab-e-didar na lai nigah-e-naz-parast
aur wo dida-e-ushshaq pe ehsan samjha
jama KHatir na hui did-e-butan se apni
daftar-e-husn ko ajza-e-pareshan samjha
na hui jalwa-gah-e-naz ki wusat malum
go main har zarra ko ek dida-e-hairan samjha
thi teri yaad bhi kya anjuman-ara-e-KHayal
dil mein jo shoala uTha sham-e-shabistan samjha
shorish-e-ishq ka aasan na tha andaza
chaak ho kar meri wahshat ko gareban samjha
sahib-e-dil hai wahi murshid-e-kaamil hai wahi
mere chehre se jo mera gham-e-pinhan samjha
har nafas shahid-e-dushwari-e-ulfat hai 'nazar'
saKHt mushkil tha wahi kaam jo aasan samjha
Ghazal
Wo taghaful ko ilaj-e-gham-e-pinhan samjha
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi