wo tabassum tha jahan shayad wahin par rah gaya
meri aankhon ka har ek manzar kahin par rah gaya
main to ho kar aa gaya aazad us ki qaid se
dil magar is jald-bazi mein wahin par rah gaya
kaun sajdon mein nihan hai jo mujhe dikhta nahin
kis ke bose ka nishan meri jabin par rah gaya
hum ko aksar ye KHayal aata hai us ko dekh kar
ye sitara kaise ghalati se zamin par rah gaya
hum labon ko khol hi kab pae us ke samne
ek naya ilzam phir dekho hamin par rah gaya
Ghazal
Wo tabassum tha jahan shayad wahin par rah gaya
imtiyaz Khan