wo suraten jo baDi shoKH hain sajili hain
unhen qarib se dekha to wo bhi pili hain
main ek jhil ke taT par udas baiTha hua
ye sochta hun wo aankhen bhi kitni nili hain
meri mohabbaten meri wafaen mera KHulus
teri kalai mein ye chuDiyan bhi Dhili hain
main daldalon ke ilaqe mein aa gaya shayad
ki dhup tez hai lekin hawaen sili hain
na jaane kaun sa ye shahr hai ki is ke baad
hamare gird jo rahen hain sab kaTili hain

Ghazal
Wo suraten jo baDi shoKH hain sajili hain
Wali Aasi