اردو हिंदी
Wo sukun-e-jism-o-jaan girdab-e-jaan hone ko hai | Shaahi Shayari
wo sukun-e-jism-o-jaan girdab-e-jaan hone ko hai

Ghazal

Wo sukun-e-jism-o-jaan girdab-e-jaan hone ko hai

Ata ul Haq Qasmi

;

wo sukun-e-jism-o-jaan girdab-e-jaan hone ko hai
paniyon ka phul pani mein rawan hone ko hai

mahi-e-be-ab hain aankhon ki be-kal putliyan
in nigahon se koi manzar nihan hone ko hai

gum hua jata hai koi manzilon ki gard mein
zindagi bhar ki masafat raegan hone ko hai

main fasil-e-jism ke bahar khaDa hun dam-ba-KHud
marka sa KHwahishon ke darmiyan hone ko hai

jagta rahta hun us ki wusaton ke KHwab mein
chashm-e-hairan se bayan ek dastan hone ko hai

sham hote hi 'ata' kyun Dubne lagta hai dil
kuchh na kuchh hone ko hai aur na-gahan hone ko hai