اردو हिंदी
Wo sitam-parwar ba-chashm ashk-bar aa hi gaya | Shaahi Shayari
wo sitam-parwar ba-chashm ashk-bar aa hi gaya

Ghazal

Wo sitam-parwar ba-chashm ashk-bar aa hi gaya

Bashir Farooq

;

wo sitam-parwar ba-chashm ashk-bar aa hi gaya
chaak-damani pe meri us ko pyar aa hi gaya

miTte miTte miT gai jaan-e-wafa ki aarzu
aate aate be-qarari ko qarar aa hi gaya

chupke chupke mujh pe meri KHamushi hansti rahi
rote rote jazb-e-dil par iKHtiyar aa hi gaya

koi wada jis ka mani-ashna hota nahin
phir usi wada-shikan par e'tibar aa hi gaya

ya ilahi jazba-e-hosh-o-KHirad ki KHair ho
muntazir jis ka junun tha wo dayar aa hi gaya