wo sitam-gar hai KHayalat samajhne wala
mujh se pahle mere jazbaat samajhne wala
main ne rakkha hai hamesha hi tabassum lab par
ro diya kyun mere haalat samajhne wala
jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha
ruk gaya tere maqamat samajhne wala
jo na samjhe wo banate rahe lakhon baaten
hua KHamosh teri baat samajhne wala
raaz-e-taqdir pe kya raushni Dalega koi
KHud sawali hai sawalat samajhne wala
Ghazal
Wo sitam-gar hai KHayalat samajhne wala
Qamar Jalalabadi