wo shoKH dil-o-jaan ki tamanna to na nikla
shoala to na nikla wo sharara to na nikla
mahsus kiya dard ke har rup mein us ko
aawaz ka afsun kabhi jhuTa to na nikla
mahrumi-e-jawed ne donon hi ko mara
ye raaz-e-mohabbat koi gahra to na nikla
ye dil ka KHaraba hi teri rahguzar thi
kaba to na nikla wo kalisa to na nikla
wo mere muqaddar ki syahi tha sarapa
nur-e-shab-e-mahtab sunahra to na nikla
hum bhi kisi shirin ke liye KHana-badar the
farhad rah-e-ishq mein tanha to na nikla
is mein teri KHalwat ka har ek rang hai paya
ye chand sar-e-charKH akela to na nikla
pahle se baDhi aur gham-e-ishq ki talKHi
tu bhi mere dam-saz masiha to na nikla
andaz-e-bayan tera 'azim' aur hi kuchh hai
dekhe sabhi fankar pa tujh sa to na nikla
Ghazal
Wo shoKH dil-o-jaan ki tamanna to na nikla
Azeem Qureshi