wo sher sun ke mera ho gaya diwana kya
main sach kahunga to manega ye zamana kya
kabhi to aana hai duniya ke samne us ko
ab us ko DhunDhne dair-o-haram mein jaana kya
suna hai kaam chalate ho tum bahanon se
udhaar doge mujhe bhi koi bahana kya
tumhaari yaadon ki garmi hai sard raaton mein
lihaf aise mein ab oDhna bichhana kya
jalega jitna bhi duniya ko raushni dega
charagh-e-ilm-o-hunar hai ise bujhana kya
tabah karne pe aae to phir nahin sunti
wo narm-rau hai nadi ka magar Thikana kya
Ghazal
Wo sher sun ke mera ho gaya diwana kya
Nazeer Nazar