wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu
patthar ki ho ke rah gai patthar ki aarzu
chhat ho falak to KHak uDane ko panw mein
sahra mein khinchti hai hamein ghar ki aarzu
zaKHmi kiye hain panw kabhi lai rah par
kab kaun jaan paya hai Thokar ki aarzu
apni giraft mein liye uDta phire kahin
parwaz ko hai kab se usi par ki aarzu
rahti hai mujh mein kab se kunwari hai aaj tak
ek aarzu ke apne swayambar ki aarzu
'akhilesh' kab bujhi hai hawas ki shadid pyas
dariya tamam pi le samundar ki aarzu
Ghazal
Wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu
Akhilesh Tiwari