wo shaKHs phir kahani ka unwan ban gaya
main dard likh rahi thi wo diwan ban gaya
gardish mein chaaron samt rahe us ke lafz lafz
kuchh yun hua ke aaj wo mehman ban gaya
KHush thi main us ko baKHsh ke kirdar phir naya
wo meri dil-lagi ka bhi saman ban gaya
mahfil uruj par thi ki nazren ulajh paDin
sab jaan-bujh ke bhi wo anjaan ban gaya
jab us ka ishq KHun ki dhaaron mein hal hua
mere liye to lulu-o-marjaan ban gaya
itne taghayyuraat ke allah ki panah
har karb mere ishq ka tawan ban gaya
lazzat to aankh ne bhi uThai thi sari raat
ek KHwab meri ruh ka sohan ban gaya
kuchh aur ramz mujh pe kiye jaen aashkar
us ki taraf se ye naya farman ban gaya
'asra' qadam sambhaal ke rakhna zamin par
shaitan kah raha hai ki rahman ban gaya
Ghazal
Wo shaKHs phir kahani ka unwan ban gaya
Asra Rizvi