wo shaKHs kya hai mere waste sunaen use
hawa mein mere hawale se gungunaen use
udas raaton mein aawara-gard banjare
haTa len bansuri honTon se aur gaen use
wo mera dil hai koi ret ka gharaunda nahin
ki shoKH maujen miTaen use banaen use
hai dil mein dard ka lashkar paDaw Dale hue
mile wo jaan-e-ghazal to kahan sajaen use
ghazal hai nam falak par qayam hai us ka
kabhi falak se zamin par utar laen use
bichhaD gaya to palaT kar kabhi na aaega
hazar dasht-o-bayaban mein do sadaen use
wo dil ka dard sahi jaan ban gaya hai 'kamal'
hum apni jaan se jaen to bhul jaen use
Ghazal
Wo shaKHs kya hai mere waste sunaen use
Abdullah Kamal