wo shaKHs ki main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta
pakDa hi gaya hun to mujhe dar pe khincho
sachcha hun magar apni wakalat nahin karta
kyun baKHsh diya mujh se gunahgar ko maula
munsif to kisi se bhi riayat nahin karta
ghar walon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malamat nahin karta
kis qaum ke dil mein nahin jazbaat-e-barahim
kis mulk pe namrud hukumat nahin karta
dete hain ujale mere sajdon ki gawahi
main chhup ke andhere mein ibaadat nahin karta
bhula nahin main aaj bhi aadab-e-jawani
main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta
insan ye samjhen ki yahan dafn KHuda hai
main aise mazaron ki ziyarat nahin karta
duniya mein 'qatil' us sa munafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai baghawat nahin karta
Ghazal
Wo shaKHs ki main jis se mohabbat nahin karta
Qateel Shifai