wo shaKHs jo rakhta hai jamal aur tarah ka
hai us se bichhaDne ka malal aur tarah ka
aasar KHarabi ke hain, aaghaz se zahir
lagta hai ki guzrega, ye sal aur tarah ka
is shahr-e-ziyan-kar ke imkan se bahar
main ab ke dikhaunga, kamal aur tarah ka
hota hai hamesha hi nae ranj mein Duba
is jada-e-wahshat pe dhamal aur tarah ka
is shahr-e-fusun-gar ke azab aur, sawab aur
hijr aur tarah ka hai, visal aur tarah ka
ab ghar se nikalna hi paDega ki muKHalif
is bar! uThate hain, sawal aur tarah ka
Ghazal
Wo shaKHs jo rakhta hai jamal aur tarah ka
Khalid Moin