wo shab ke sae mein fasl-e-nashat kaTte hain
hum apni zat ke hujre mein raat kaTte hain
ajib log hain is ahd-e-be-murawwat ke
zaban kaT na paen to baat kaTte hain
ye lamha ahl-e-mohabbat pe saKHt bhaari hai
ye lamha ahl-e-mohabbat ke sath kaTte hain
thakan se pura badan chur chur hota hai
pahaD kaTte hain hum ki raat kaTte hain
ye rang le ke kahan aa gae ho tum 'azhar'
yahan to log musawwir ke hath kaTte hain
Ghazal
Wo shab ke sae mein fasl-e-nashat kaTte hain
Azhar Adeeb