wo sham Dhale tera milna wo tera hansana yaad nahin
jo teri rifaqat mein guzra hum ko wo zamana yaad nahin
manzil hai kahan kuchh yaad nahin kis samt hai jaana yaad nahin
ab tera pata hum kya puchhen KHud apna Thikana yaad nahin
kya tujh se bahana koi karen ab koi bahana yaad nahin
hum aa to gae mahfil mein teri par der se aana yaad nahin
ai ahl-e-zamana zid na karo wo daur purana yaad nahin
ab un ki kahani kya kahiye KHud apna fasana yaad nahin
wo chandni-shab phulon ki mahak wo ThanDi hawaon ke jhonke
tu itni jaldi bhul gaya mausam wo suhana yaad nahin
wo raat wo barish tufani us raat ka manzar yaad to kar
wo ek duje ko miThi Dish kya tum ko khilana yaad nahin
ilzam-tarashi to 'saghar' duniya ka purana shewa hai
yusuf pe zamane ka tujh ko kya ungli uThana yaad nahin
Ghazal
Wo sham Dhale tera milna wo tera hansana yaad nahin
Imran Saghar