wo shaKH-e-gul ki tarah mausam-e-tarab ki tarah
main apne dasht mein tanha charagh-e-shab ki tarah
KHayal-o-fikr ki sachchaiyan bhi shamil hain
mere lahu mein mere shajara-e-nasab ki tarah
wo apni KHalwat-e-jaan se pukarta hai mujhe
main chahta hun use harf-e-zer-e-lab ki tarah
KHusha ye daur ki wo bhi hai sath sath mere
mere KHayal ki surat meri talab ki tarah
main apne ahd ki aawaz-e-na-rasa hi sahi
dhaDak raha hun dilon mein sukut-e-shab ki tarah
na khil ke ser hua main na jal ke rakh hua
ki meri pyas bhi hai tere rang-e-lab ki tarah
Ghazal
Wo shaKH-e-gul ki tarah mausam-e-tarab ki tarah
Razi Akhtar Shauq

