wo sau sau aTkhaTon se ghar se bahar do qadam nikle
bala se us ki gar us mein kisi muztar ka dam nikle
kahan aansu ke qatre KHun-e-dil se hain baham nikle
ye dil mein jama the muddat se kuchh paikan-e-gham nikle
mere mazmun-e-soz-e-dil se KHat sab jal gaya mera
qalam se harf jo nikle sharar hi yak-qalam nikle
nikal ai chaaragar tu shauq se lekin sar-e-paikan
udhar nikle jigar se tir udhar qalib se dam nikle
tasawwur se lab-e-lalin ke tere hum agar ro den
to jo laKHt-e-jigar aaankhon se nikle ek raqam nikle
nahin Darte agar hon lakh zindan yar zindan se
junun ab to misal-e-nala-e-zanjir hum nikle
jigar par dagh lab par dud-e-dil aur ashk daman mein
teri mahfil se hum manind-e-shama subh-dam nikle
agar hota zamana gesu-e-shab-rang ka tere
meri shab-diz sauda ka ziyaada-tar qadam nikle
kaji jin ki tabiat mein hai kab hoti wo sidhi hai
kaho shaKH-e-gul-e-taswir se kis tarah KHam nikle
shumar ek shab kiya hum ne jo apne dil ke daghon se
to anjum charKH-e-hashtum ke bahut se un se kam nikle
KHuda ke waste zahid uTha parda na kabe ka
kahin aisa na ho yan bhi wahi kafir-sanam nikle
tamanna hai ye dil mein jab talak hai dam mein dam apne
'zafar' munh se hamare nam us ka dam-ba-dam nikle
Ghazal
Wo sau sau aTkhaTon se ghar se bahar do qadam nikle
Bahadur Shah Zafar