wo sarKHushi de ki zindagi ko shabab se bahara-yab kar de
mere KHayalon mein rang bhar de mere lahu ko sharab kar de
haqiqaten aashkar kar de sadaqaten be-hijab kar de
har ek zarra ye kah raha hai ki aa mujhe aaftab kar de
ye KHwab kya hai ye zisht kya hai jahan ki asli sirisht kya hai
baDa maza ho tamam chehre agar koi be-naqab kar de
kaho to raaz-e-hayat kah dun haqiqat-e-kaenat kah dun
wo baat kah dun ki pattharon ke jigar ko bhi aab aab kar de
KHilaf-e-taqdir kar raha hun phir ek taqsir kar raha hun
phir ek tadbir kar raha hun KHuda agar kaamyab kar de
tere karam ke muamle ko tere karam hi pe chhoDta hun
meri KHataen shumar kar le meri saza ka hisab kar de
'hafiz' sab se baDi KHarabi hai ishq mein lutf-e-kaam-yabi
kisi ki duniya tabah kar de kisi ki uqba KHarab kar de
Ghazal
Wo sarKHushi de ki zindagi ko shabab se bahara-yab kar de
Hafeez Jalandhari