wo sard fasla bas aaj kaTne wala tha
main ek charagh ki lau se lipaTne wala tha
bahut bikhera mujhe mere mehrbanon ne
mera wajud hi lekin simaTne wala tha
bacha liya teri KHushbu ke farq ne warna
main tere wahm mein tujh se lipaTne wala tha
usi ko chumta rahta tha wo ki us ko bhi
aziz tha wahi bazu jo kaTne wala tha
mujhi ko rah badalni thi so badal Dali
kahin pahaD bhi Thokar se haTne wala tha
talash jis ki thi wo harf mil gaya warna
main ek sada waraq aur ulaTne wala tha
ye kis ko tir chalane ka shauq jag uTha
wo baz meri taraf hi jhapaTne wala tha
Ghazal
Wo sard fasla bas aaj kaTne wala tha
Kaifi Wijdani