wo sanam jo mehr-ezar hai use hum se milne mein aar hai
wale apna jo dil-e-zar hai wo hazar jaan se nisar hai
mile jab se kuche mein us ke ja ye surur-e-aish hai barmala
lab-e-dil hai aur wo naqsh-e-pa bar-e-jaan hai aur dar-e-yar hai
wo nigah jo us ki hai fitna-gar use mashq-e-said hai pesh-tar
hai jo dil ka tair-e-tez-par usi baz ka ye shikar hai
wo mizha laga ke jo ek sinan gai phir to kar na dil ab fughan
kai aise howenge imtihan ye abhi to pahla hi war hai
jo bahaar gul pe rahi hai tul hamein kya jo husn ki pi hai mul
jinhen chahiye hai wo rashk-e-gul unhen gul se kya sarokar hai
jo buton ko dewen dil aur din rakhen us ko ye ba-alam qarin
bhala kahiye kya use ham-nashin ye ajab kuchh un ka shiar hai
kai din hue hain 'nazir' ab ki KHafa hai hum se wo ghuncha-lab
use kya wale hamein roz-o-shab na to sabr hai na qarar hai
Ghazal
Wo sanam jo mehr-ezar hai use humse milne mein aar hai
Nazeer Akbarabadi