wo sanam jab sun basa dida-e-hairan mein aa
aatish-e-ishq paDi aql ke saman mein aa
naz deta nahin gar ruKHsat-e-gul-gasht-e-chaman
ai chaman-zar-e-haya dil ke gulistan mein aa
aish hai aish ki us mah ka KHayal-e-raushan
shama raushan kiya mujh dil ke shabistan mein aa
yaad aata hai mujhe wo do gul-e-bagh-e-wafa
ashk karte hain makan gosha-e-daman mein aa
mauj-e-betabi-e-dil ashk mein hui jalwa-numa
jab basi zulf-e-sanam tab-e-pareshan mein aa
nala-o-ah ki tafsil na puchho mujh sun
daftar-e-dard basa ishq ke diwan mein aa
panja-e-ishq ne betab kiya jab sun mujhe
chaak-e-dil tab sun basa chaak-e-gareban mein aa
dekh ai ahl-e-nazar sabza-e-KHat mein lab-e-lal
rang-e-yaqut chhupa hai KHat-e-raihan mein aa
husn tha parda-e-tajrid mein sab sun aazad
talib-e-ishq hua surat-e-insan mein aa
shaiKH yahan baat teri pesh na jawe hargiz
aql kun chhoD ke mat majlis-e-rindan mein aa
dard-mandan ko ba-juz dard nahin said murad
ai shah-e-malk-e-junun gham ke bayaban mein aa
hakim-e-waqt hai tujh ghar mein raqib-e-bad-KHu
dew muKHtar hua mulk-e-sulaiman mein aa
chashma-e-ab-e-baqa jag mein kiya hai hasil
yusuf-e-husn tere chah-e-zanaKHdan mein aa
jag ke KHuban ka namak ho ke namak-parwarda
chhup raha aa ke tere lab ke namak-dan mein aa
bas ki mujh haal sun ham-sar hai pareshani mein
dard kahti hai mera zulf tere kan mein aa
gham sun tere hai tarahhum ka mahal haal-e-'wali'
zulm ko chhoD sajan shewa-e-ehsan mein aa
Ghazal
Wo sanam jab sun basa dida-e-hairan mein aa
Wali Mohammad Wali