wo saKHi hai to kisi roz bula kar le jae
aur mujhe wasl ke aadab sikha kar le jae
mere andar kisi afsos ki tariki hai
is andhere mein koi aag jala kar le jae
ye meri ruh mein naddi ki thakan kaisi hai
wo samundar ki tarah aae baha kar le jae
hijr mein jism ke asrar kahan khulte hain
ab wahi sehr kare pyar se aa kar le jae
KHak aankhon mein hai wo KHwab kahan milta hai
jo mujhe qaid-e-manazir se riha kar le jae

Ghazal
Wo saKHi hai to kisi roz bula kar le jae
Saqi Faruqi