wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahe
hum un ka intiKHab-e-nazar dekhte rahe
daman bacha ke ashkon se wo to nikal gae
hum der tak zamin par guhar dekhte rahe
hum be-niyaz baiThe hue un ki bazm mein
auron ki bandagi ka asar dekhte rahe
aai sahar to aur baDha bijliyon ka zor
shab bhar hum intizar-e-sahar dekhte rahe
shoalon ki zad mein the sabhi kis ko pukarte
har samt KHirmanon mein sharar dekhte rahe
kyun-kar sambhaalte hamein wo naKHuda jo KHud
sahil ki aafiyat se bhanwar dekhte rahe
manzil ki dhun mein aabla-pa chal khaDe hue
aur shahsawar gard-e-safar dekhte rahe
Ghazal
Wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahe
Hashim Raza Jalalpuri