اردو हिंदी
Wo sab ke dil mein basa tha habib aisa tha | Shaahi Shayari
wo sab ke dil mein basa tha habib aisa tha

Ghazal

Wo sab ke dil mein basa tha habib aisa tha

Jameel Qureshi

;

wo sab ke dil mein basa tha habib aisa tha
tamam shahr hi mera raqib aisa tha

lahu lahu tha ujala sahar ke mathe par
ufuq se jhankta suraj salib aisa tha

mata-e-dard-o-alam bhi to us ke pas na thi
mujhe wo kya ata karta gharib aisa tha

bana bana ke main baaten hazar karta magar
wo mujh se jit hi jata KHatib aisa tha

mera KHulus wo Thukra gaya hiqarat se
main hath malta raha bad-nasib aisa tha

tamam umr jalata raha wajud mera
wo ek barf ka paikar ajib aisa tha