wo samne tha phir bhi kahan samna hua
rahta hai apne nur mein suraj chhupa hua
ai raushni ki lahr kabhi to palaT ke aa
tujh ko bula raha hai daricha khula hua
sairab kis tarah ho zamin dur dur ki
sahil ne hai nadi ko muqayyad kiya hua
ai dost chashm-e-shauq ne dekha hai bar-ha
bijli se tera nam ghaTa par likha hua
pahchante nahin use mahfil mein dost bhi
chehra ho jis ka gard-e-alam se aTa hua
is daur mein KHulus ka kya kaam ai 'shakeb'
kyun kar chale bisat pe mohra piTa hua
Ghazal
Wo samne tha phir bhi kahan samna hua
Shakeb Jalali

