wo samne hon mere aur nazar jhuki na rahe
mata-e-zist luTa kar koi kami na rahe
diye jalae hain main ne khule darichon par
ai tund-o-tez hawa tujh ko barhami na rahe
batao aisa bhi manzar nazar se guzra hai
charagh jalte rahen aur raushni na rahe
koi bhi lamha guzarta nahin hai tere baghair
talluqat mein aisi bhi chashni na rahe
hamare hausle ko dekh kar ye kahte ho
zaban band rahe aankh mein nami na rahe
mile jo raushni tujh se to zulmaten kam hon
ki tere baad meri jaan zindagi na rahe
labon pe aa gaya dam apna habs mausam mein
hawa-e-abar-e-bahaaran yunhi thami na rahe

Ghazal
Wo samne hon mere aur nazar jhuki na rahe
Shahnaz Muzammil