اردو हिंदी
Wo roab-e-husn tha us ka salam bhul gaya | Shaahi Shayari
wo roab-e-husn tha us ka salam bhul gaya

Ghazal

Wo roab-e-husn tha us ka salam bhul gaya

Nasir Zaidi

;

wo roab-e-husn tha us ka salam bhul gaya
kara saka na taaruf mein nam bhul gaya

idhar udhar ki hui KHub guftugu us se
bahut zaruri tha sab se jo kaam bhul gaya

gham-e-jahan ne kiya is qadar KHarab ki main
jo doston mein gizari thi sham bhul gaya

zaban-e-ghair se main tera tazkira sun kar
zara si der mein sab ehtiram bhul gaya

rakha jo us ne mohabbat se hath kandhe par
jo dil mein dard tha mere tamam bhul gaya

ye kaisi rah-e-tamanna thi mere pesh-e-nazar
chala to chal ke faqat chand gam bhul gaya

main us ki zat mein gum is tarah hua 'nasir'
kahan ke hosh o KHirad sab kalam bhul gaya