اردو हिंदी
Wo rind kya ki jo pite hain be-KHudi ke liye | Shaahi Shayari
wo rind kya ki jo pite hain be-KHudi ke liye

Ghazal

Wo rind kya ki jo pite hain be-KHudi ke liye

Baqar Mehdi

;

wo rind kya ki jo pite hain be-KHudi ke liye
surur chahiye wo bhi kabhi kabhi ke liye

ye kya ki bazm mein shamen jala ke baiThe ho
kabhi milo to sar-e-rah dushmani ke liye

awadh ki sham rafiqon ko mah-jabinon ko
har ek chhoD ke aae the bambai ke liye

magar ye kya ki ba-juz-dard kuchh hamein na mila
ajib shahr hai ye ek ajnabi ke liye

hazar chahen na chuTegi hum se ye duniya
yahin rahenge mohabbat ki be-kasi ke liye

koi panah nahin koi ja-e-amn nahin
hayat johd-e-musalsal hai aadmi ke liye

ye kah raha hai koi apne jaan-nisaron se
kuchh aur chahiye ab rasm-e-ashiqi ke liye

kahan kahan na pukara kahan kahan na gae
bas ek tabassum-e-pinhan ki raushni ke liye