wo raushni ki ba-qaid-e-sahar nahin ai dost
tera jamal hai meri nazar nahin ai dost
tere baghair wo sham-o-sahar nahin ai dost
koi charagh sar-e-rahguzar nahin ai dost
bahana DhunDh liya tujh se baat karne ka
kuchh aur maqsad-e-arz-e-hunar nahin ai dost
shab-e-firaq ye mahwiyaton ka aalam hai
kisi ki hae kisi ko KHabar nahin ai dost
mah o nujum bhi garm-e-safar to hain lekin
koi bhi un mein mera ham-safar nahin ai dost
kabhi udhar se jo guzre to sarsari guzre
sawad-e-tur teri rahguzar nahin ai dost
Ghazal
Wo raushni ki ba-qaid-e-sahar nahin ai dost
Taban Ghulam Rabbani