اردو हिंदी
Wo raushni hai ki aankhon ko kuchh sujhai na de | Shaahi Shayari
wo raushni hai ki aankhon ko kuchh sujhai na de

Ghazal

Wo raushni hai ki aankhon ko kuchh sujhai na de

Mazhar Imam

;

wo raushni hai ki aankhon ko kuchh sujhai na de
sukut wo ki dhamaka bhi ab sunai na de

pahunch gaya hun zaman o makan ke malbe tak
meri ana mujhe ilzam-e-na-rasai na de

agar kahin hai to dil chir kar dikha mujh ko
tu apni zat ka irfan de KHudai na de

azal ke TuTte rishton ki is kashakash mein
pukar aisi ada se mujhe sunai na de

nikal chuka hun main apni kaman se aage
talluqat-e-guzishta ki ab duhai na de