wo raqs karne lagin hawaen wo badliyon ka payam aaya
ye kis ne bikhrain ruKH pe zulfen ye kaun baala-e-baam aaya
mujhe KHushi hai ki aaj mera junun bhi yun mere kaam aaya
samajh ke diwana-e-mohabbat tumhaare honTon pe nam aaya
mujhe surahi se kya gharaz hai mera nasha asl mein alag hai
idhar tumhaari nigah uTThi udhar surur-e-dawam aaya
ye husn fani hai meri jaan ye jawaniyon pe ghurur kaisa
jahan chaDha mehr-e-nim-rozi usi jagah waqt-e-sham aaya
chahakti ye bulbulen ye gulchin chaman pe haq hai sabhi ka lekin
kisi ke hisse mein phul aae kisi ke hisse mein dam aaya
diya mujhe maut ne sambhaala lahad mein bhi ho gaya ujala
ye qabr par kis ne gul chaDhae ye kaun mah-e-tamam aaya
na to faulun na faelatun na bahr koi na koi taKHti
ye hai inayat kisi ki 'shewan' tujhe shuur-e-kalam aaya
Ghazal
Wo raqs karne lagin hawaen wo badliyon ka payam aaya
Shevan Bijnauri